12 April 2010

Muthi main sooraj ko samana chahoon

Muthi main sooraj ko samana chahoon
ek pal main kya se kya hona chahoon

mujhe ilm hai ke ye mumkin hi nahi magar
qatre main samandar perona chahoon

ek baar hansti annkhon main nami dekhi thi
manzar wohi phir aankhon main samana chahoon

gham-e-hansti ki is bheer main hoon bilkul tanha
dil-e-badguman ke liye phir wohi khilona chahoon

ek shaks jo kabhi meri zindagi ka mehwar tha
najaane kyun main aaj usse khona chahoon

phoolon bharey bister ne hai jism ko choor kiya
sooney ko ab main kaanton ka bechona chahoon

No comments:

Post a Comment

If You Find this Post Useful/Interesting Please Place Your Comments.