09 October 2009

Jö apne haath mein har dam gulaab rakhta tha

| More


Advertisements

Kitaab-e-dil mein jö NAFRAT ka baab rakhta tha,

Wö chahtön ka mukammal hisaab rakhta tha,

Fareb deta raha dösti k pardön mein,

Wö shakhs chehre pe kitne naqaab rakhta tha,

Aaj us k haathön mein patthar dikhai deta hai,

Jö apne haath mein har dam gulaab rakhta tha..

Related Posts by categories



Advertisements

0 comments: