08 November 2009

Aaiye haath uthaayein ham bhi

| More


Advertisements

Aaiye haath uthaayein ham bhi
Ham jinhein rasm-e-dua yaad nahin
Ham jinhein soz-e-mohabbat k siwa
Koi butt koi khuda yaad nahi
Aaiye arz guzaarein k nigaar-e-hasti
Zehr-e-imroz mein sheereeni-e-farda bhar de
Wo jinhein taab-e-giraan-baari-e-ayyaam nahin
Un ki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de
Jin ki aankhon ko rukh-e-subha ka yaara bhi nahin
Un ki raaton mein koi shammein munawwar kar de
Jin k qadmon ko kisi raah ka sahaara bhi nahin
Un ki nazron pe koi raah ujaagar kar de
Jin ka deen peirvi-e-kizb-o-rayaa hai un ko
Himmat-e-kufr mile,jurrat-e-tehqeeq mile
Jin k sar muntazir-e-taigh-e-jafaa hain un ko
Dast-e-qaatil ko jhatak dene ki tofeeq mile
Ishq ka sirr-e-nehaan jaan tapaan hai jis se
Aaj iqraar karein aur tapish mit jaaye
Harf-e-haq dil mein khatakta hai jo kaante ki tarha
Aaj izhaar karein aur khalish mit jaaye...

Related Posts by categories



Advertisements

0 comments: