Nahi Acha Koi Ishara Saaf Keh Do Na,
Kahan Tak Sath Do Gi Tum hamara Saaf Keh Do Na,
Judai ki Tarah Darya Bhi Apny Sath Chalta hai,
Nahi milta Kinary se Kinara Saaf Keh Do Na,
Bahany Apni Majbori k Q Aa k Sunati ho,
Kasoor is Main nahi koi Tumhara Saaf Keh Do Na,
Humain Tanhai k Taanay to Mat do Ghairon k Aagy,
K hum b Dhoond Lain koi Sahara Saaf Keh Do Na,
Hamary Haath ki Aksar Lakirain Milti Julti hain,
Magr Milta nahi Apna sitara Saaf Keh Do Na,
Advertisements
0 comments:
Post a Comment