31 March 2010

Aagaz to hota hai anjaam nahin hota

| More


Advertisements

Aagaz to hota hai anjaam nahin hota
Jab meri kahani main wo nam nahin hota

Jab zulf ki kalikh main ghhul jaye koi rahi
Badnam sahi lekin gumnam nahin hota

Hans hans k jawan dil ke ham kyon na chunen tukre
Har shakhs ki qismat main inam nahin hota

Bahte hue ansu ne ankhon se kaha tham kar
Jo mai se pighal jaye wo jam nahin hota

Din dube hain ya dubi barat liye kashti
Sahil pe magar koi kohram nahin hota

Related Posts by categories



Advertisements

0 comments: