03 April 2010

Kis ko sairaab karey woh kisey pyasa rakhey

| More


Advertisements

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey
Kis ko sairaab karey woh kisey pyasa rakhey

Umr bhar kon nibhata hai taaluq itna
Ae meri jaan ke dushman tujhe ALLAH rakhey

Hum ko acha nahi lagta koi humnaam tera
Koi tujhsa ho to phir naam bhi tujhsa rakhey

Dil bhi pagal hai ke uss shakhs se wabasta hai
Jo kisi aur ka hone de na apna rakhey !!

Kam nahi tama-e-ibadat bhi to hirs-e-zar se
Fuqr to woh hai ke jo deen na duniya rakhey

Hans na itna bhi faqeeron ke akelepan per
Ja, khuda meri tarah tujhko bhi tanha rakhey

Yeh qanaa-at hai, itaa-at hai ke chahat hai 'Faraz'
Hum to raazi hain woh jis haal mein jaisa rakhey !!

Related Posts by categories



Advertisements

0 comments: