09 April 2010

Lahu na ho to kalam tarjuman nahin hota

| More


Advertisements

Lahu na ho to kalam tarjuman nahin hota
Hamare daur men aansu zuban nahin hota
Jahan rahega raushni lutayega
Kisi chirag ka apna makaan nahin hota
Ye kis mukam pe layee hai meri tanhayee
Ke mujh se aaj koi badguman nahin hota
Main us ko bhool gaya hoon ye kaun manega
Kisi chirag ke bas men dhuwan nahin hota
'Wasim' sadiyon ki aankhon se dekhiye mujhko
Wo lafz hoon jo kabhi dastan nahin hota

Related Posts by categories



Advertisements

0 comments: