10 April 2010

Main Hun Wohi Pechan Le Jo Tere Husn Ka Shabab Tha

| More


Advertisements

Main Hun Wohi Pechan Le Jo Tere Husn Ka Shabab Tha,
Teri Shokhyaan Teri Mastiyaan Teri Har Ada Ka Hijaab Tha,


Jab Tha Zamana Ik Taraf Aur Main Dewana Ik Taraf,
Kissi Gham Ki Kab Parwah Thi Tera Pyaar Jo Be-Hisab Tha,


Tu Tab Talak Sota Na Tha Agar Baat Mujhse Hoti Na Thi,
Aaftab Tha Tere Din Ka Aur Teri Raat Ka Mehtaab Tha,


Tu Maan Ya Na Maan Ab Ye Waqt Waqt Ki Baat Hai,
Aj Ban Gaya Hoon Khud Sawal Kabhi har Sawal Ka Jawab Tha.......!!!!

Related Posts by categories



Advertisements

0 comments: