09 April 2010

Meri aankhon ko aankhon ka sahara kon de ga

| More


Advertisements

Meri aankhon ko aankhon ka sahara kon de ga
samandar ko samandar main kinara kon de ga

meray chehray ko chehra kab inayat kar rahay ho
tumhain meray siwa chehra tumhara kon de ga

mohabbat neela mausum ban ke aa jaey gi ik din
gulabi titliyon ko phir sahara kon de ga

meri awaz main awaz kis ki bolti hai hai
meray geeton ko geeton ka kinara kon de ga

baddun main aik sehra jal raha hai bujh raha hai
meray daryaoon ko qaisar ishara kon de ga

Related Posts by categories



Advertisements

0 comments: